nikla hun khud ko dhundne is ka magar hai mujh ko gham rah-e-junun daraaz hai mera safar qadam qadam mujh ko khabar nahin ki yan kitne lute hain karwan kitni giri hain bijliyan kitne jale hain aashiyan chaak hai parda-e-wajud phir bhi koi mera nahin kaun hai jis ke waste hukm-e-saza jaza nahin aalam-e-ab-o-khak mein mera zuhur bhi hijab hashr mein sab ke samne mera amal hai be-naqab meri tamam zindagi marka-hae-khair-o-shar meri nigah-e-arsh par main kaf-e-khak-o-khud-nigar mere liye hain do jahan main hun khuda ke waste mera wajud aaina ahl-e-safa ke waste jis mein ki khub-o-zisht ka madd-o-jazar hai saf saf manzar-e-dozakh-o-bahisht pesh-e-nazar hai saf saf rah-e-bad-o-rah-e-najat hain mere ikhtiyar mein gham hain magar ye raste rang-ba-rang ghubar mein hirs-o-hawa ki dher par apne qadam jama ke rakh tegh-e-zamana tez hai sar ko bacha bacha ke rakh kar-e-gah-e-hayat mein rakh le khud apni aabru tera maqam-e-bandagi kaam hai tera aarzu khud dil-o-jigar se kar jazb-e-darun ki parwarish karte rahen zamir ko ishq ke naghme murtaish sun le mere 'nadim' sun 'iqbaal' ke tha dard-e-lab ishq-e-tamam-e-mustafa aql-e-tamam bu-lahab hasil-e-ishq-e-mustafa un se nizam-e-kaenat un ke baghair shara-o-din but-kada-e-tasawwuraat apni khudi ki ot se jalwa-e-be-hijab dekh qalb-o-nazar ko pak rakh yar ko be-naqab dekh