gham ki chha jaegi duniya mein ghata mere baad aur barsenge bahut tir-e-bala mere baad dekhna hashr kya hota hai ki jab aaegi dar-o-diwar se rone ki sada mere baad bijliyan chamkengi aalam-o-masaib ki agar gham ki chal jaegi har samt hawa mere baad apni thokar se meri qabr ko dhaya aa kar zulm ye aur bhi zalim ne kiya mere baad aaj dil khol ke tum zulm-o-sitam kar dalo phir chalaoge kahan tegh-e-jafa mere baad meri surat se bhi chidh ho gai paida jin ko khun rulaegi unhen meri wafa mere baad hath se apne mitane pe tule ho lekin kaun bhugtega mohabbat ki saza mere baad khud hi pachhtaoge duniya se mita kar mujh ko tum ko bedad ka aaega maza mere baad apne bimar-e-mohabbat ko na tadpao tum phir dikha lena unhen naz-o-ada mere baad wo bahane lage aankhon se lahu ke aansu rang le aai hai ye meri wafa mere baad 'aftab' aaj mohabbat ne asar dikhlaya un ke sine mein bhi ab dard utha mere baad