nahin tanha nahin hun main tumhaare sehr ke dhagon ne mere jism-o-jaan ko bandh rakha hai hasin yaadon ka shirin lams meri ruh ko chhu kar meri aankhon se bahta hai tum apni ungliyon ki narm poron se mere hathon ko chhute ho bahut dhire se tum apne dahakte lab mere galon pe rakh kar aansuon ko ponchh dete ho main apni band aankhon mein hasin qaus-e-quzah aur titliyon ke rang takti hun mohabbat ke parinde git gate hain fazaen gungunati hain tumhaare bazuon ne mere tan ko tham rakkha hai tumhaari sans ki khushbu meri sanson mein uljhi hai tumhein chhuti tumhein mahsus karti hun main tum se pyar karti hun jidhar dekhun tumhi tum ho har ek pal mein tumhi tum ho jahan tum ho wahin hun main nahin tanha nahin hun main