jhula

aaya sawan ka mahina nazar aaya jhula
dil ko bhaya meri aankhon mein samaya jhula

sal bhar rah ke bahishton ki faza mein mehman
abr ki god mein baitha hua aaya jhula

choli-daman ka sa hai sath ghata ka is ka
is taraf aai ghata us taraf aaya jhula

rut hai jhule ki na kyon aaj khudai jhule
nannhi kaliyon ko hawaon ne jhulaya jhula

peng badhne lagi aanchal ko ghata ke chhune
bagh mein sakhiyon ne is tarah jhulaya jhula

jhumti aati hain mastana ghataen kaisi
dhund kar hai inhen kis des se laya jhula

git sun sun ke ghataen bhi bahak uthi hain
mil ke sakhiyon ne kuchh is dhum se gaya jhula

phul hilte hain idhar shakh lachakti hai udhar
ya bahaaron ko hai qudrat ne jhulaya jhula

dur pardes mein hum kis ko jhulaen 'akhtar'
hasrat-o-yas ka paigham hai laya jhula


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close