mausam-e-barsat ki subh

aaj jis waqt mujhe tum ne jagaya amman
apne aur nind ke pahlu se uthaya amman

aasman kamli tha odhe hue kali kali
tazgi aur safedi se faza thi khali

na andhera hi tha shab ka na ujala din ka
raat ke gird nazar aata tha haala din ka

ek bulandi ki kadak pasti ko dhundlati thi
dil hilati hui aawaz suni jati thi

subh har chaar taraf roti hui phirti thi
apna munh aansuon se dhoti hui phirti thi

jaise nanha sa main beta hun tumhaara amman
aise hi subh ka ek lal hai pyara amman

jaise main khelne jata hun bahut dur kahin
aise hi sharq mein hai aaj wo mastur kahin

kho gaya hai nazar aata nahin bachcha us ka
dhundhti lakh hai pata nahin bachcha us ka

dekho to subh ka dil sard hai be-nur hai aankh
apne bachcha ke tasawwur hi se mamur hai aankh

mujh ko jaane do ki main dhund ke laun us ko
gham-zada subh ke pahlu mein bithaun us ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close