ji chahta hai

unhen bhi bulane ko ji chahta hai
nahar mein nahane ko ji chahta hai

na puri na halwa na laddu na barfi
mera khir khane ko ji chahta hai

jahan dudh ki dekhta hun kadahi
wahin baith jaane ko ji chahta hai

wo jin mein hai kuchh khane pine ka qissa
wo baaten banane ko ji chahta hai

main buzdil hun maujon se ghabra raha hun
kinare pe aane ko ji chahta hai

jo ustad kahta hai padhne ko hum se
bahana banane ko ji chahta hai

jahan ho na pani na talab koi
wahin dub jaane ko ji chahta hai

falak se ye rangin taron ki genden
mera tod lane ko ji chahta hai

ghazal koi 'sibtain' sunta nahin hai
aur apna sunane ko ji chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close