bhadak bhadak ke sadaon ne rah dikhai mujhe hazar sang-e-safar ham-safar bane bigde ye aarzu hai ki khwahish ka koi phal na gire musafirat ke samundar mein sab ko tanha karun wo mujh se chhupta phire aur main us ko dekha karun numaish-e-gham-e-sahra mein us pe saya karun ba-rang-e-khwab ruke paniyon ko chakkha karun parae baghon pe abr-e-rawan ka saya rahe khula ho sahn hawa khwahishon ki baat sune udhadta rang mahakte gulon mein khun bhare jise main dhund raha hun use koi na mile ye ek lamha thahar jae khatm raat na ho safar se lautun to koi bhi mere sat na ho