ji Darta hai

ji darta hai be-gharaz mohabbat karne wale
achchhi nasl ke doston se

unhen dariya beach jawab mila
ye kashti chhe shahtiron aur das kilon se

yahin dariya bich banai thi
so us mein aag lagi

ji darta hai
tumhein laut ke aana achchha laga

mujhe chhat ki belen hari milen
unhen dhup na dena jadon mein

ye bistar mere ghar ke nahin
tumhein fikr hui mujhe khauf aaya

sab jaanna achchha hota hai magar aksar farq nahin padta sab jaanne se
jab kashti dubne lagti hai

main jaanta hun
mujhe tairna aana chahiye tha

be-gharaz mohabbat karne wale achchhi nasl ke doston ki hamrahi mein
mujhe un se alag

kuchh apne liye bhi sochna chahiye tha
main jaanta hun

ye aag izafi koshish thi
jab kashti dubne lagti hai tab kashti dubne lagti hai

ab laut aae to fikr karo
ye kashti dub bhi sakti thi

ye bistar bhig bhi sakte the
ye dariya laut bhi sakta tha

be-gharaz mohabbat karne wale achchhi nasl ke doston ki hamrahi mein
har kaam ulat ho sakta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close