khwab mazdur hai raat din sar pe bhaari taghaari liye sans ki bans ki hanpti-kanpti sidhiyon par utarta hai chadhta hai ru-posh meamar ke hukm par ek la-shakl naqshe pe uthti hui upar uthti hui gol diwar ke khisht-dar-khisht chakkar mein mahsur hai khwab mazdur hai! ek mashaqqat-zada aadmi ki tarah main haqiqat ki duniya mein ya khwab mein roz mamul ke kaam karta hun kuchh der aaram karta hun kanton bhari khat mein pyas ke jam pita hun aur sozan-e-hijr se apni udhdi hui tan ki poshak sita hun jita hun kaisi anokhi haqiqat hai kaisa ajab khwab hai ek mashaqqat-zada aadmi ki tarah apne hisse ki bajri uthane pe mamur hai khwab mazdur hai!!