jibrail hamdam-e-dairina kaisa hai jahan-e-rang-o-bu iblis soz-o-saz o dard o dagh o justuju o aarzu jibrail har ghadi aflak par rahti hai teri guftugu kya nahin mumkin ki tera chaak daman ho rafu iblis aah ai jibril tu waqif nahin is raaz se kar gaya sarmast mujh ko tut kar mera subu ab yahan meri guzar mumkin nahin mumkin nahin kis qadar khamosh hai ye aalam-e-be-kakh-o-ku jis ki naumidi se ho soz-e-darun-e-kaenat us ke haq mein taqnatu achchha hai ya la-taqnatu jibrail kho diye inkar se tu ne maqamat-e-buland chashm-e-yazdan mein farishton ki rahi kya aabru iblis hai meri jurat se musht-e-khak mein zauq-e-numu mere fitne jama-e-aql-o-khirad ka tar-o-pu dekhta hai tu faqat sahil se razm-e-khair-o-shar kaun tufan ke tamanche kha raha hai main ki tu khizr bhi be-dast-o-pa ilyas bhi be-dast-o-pa mere tufan yam-ba-yam dariya-ba-dariya ju-ba-ju gar kabhi khalwat mayassar ho to puchh allah se qissa-e-adam ko rangin kar gaya kis ka lahu main khatakta hun dil-e-yazdan mein kante ki tarah tu faqat allah-hu allah-hu allah-hu