ai dost mere pas nahin lal-o-jawahar tu dekh ki kis darja hai sada meri poshak lekin mujhe qudrat ne ata ki hai faqiri is baat ka shahid hai mera daman-e-sad-chaak har-chand ki kam-maya hun duniya ki nazar mein iqlim-e-sukhan mein hai meri baithi hui dhak har rang-e-zamana se hun is umr mein waqif raftar-e-zamana hai meri basta-e-fitrak duniya ko samajhta hun main bazicha-e-atfal jhukte hain meri izzat-o-tazim ko aflak hain shams-o-qamar mere hi farman ke tabe hawi hai zamane pe meri fitrat-e-bebak la-raib main sultan hun qismat ke jahan ka har-chand ki qismat ka fasana hai alamnak bijli ki hararat hai meri mauj-e-nafas mein main phunk ke ek lamhe mein rakh dun khas-o-khashak bartaw zamane ka mere sath bura hai mat puchh ki kyun aankh meri rahti hai namnak main chahun to taqdir-e-zamana ko badal dun chahun to badal sakta hun main qismat-e-laulak