samay meri shakhsiyat se khud-e'timadi ki parat is tarah utar raha hai jaise koi khansaman pyaz ke chhilke utar raha ho kal aaj aur kal ke sahraon se bagulon ke sath an-dekha sa koi wajud nikalta hai aur meri mehnaton pe shab-khun mar deta hai shayad use pata nahin ki insan jo ki hawas ka pujari hai fitratan ek juari hai haar jae ya jit jae khel chhod kar nahin uthta