yahan darakht ke upar uga hua hai darakht zamin tang hai (jaise kabhi farakh na thi) hawa ka kal pada hai, nami bhi aam nahin samundaron ko bilo kar fazaon ko math kar janam diye hain agar chand abr ke tukde jhapat liya hai unhen yun daraaz shakhon ne ki nim-jaan tane ko zara khabar na hui jaden bhi khak tale ek hi lagan mein rawan na tirgi se mafar hai, na raushni ka sawal zamin mein panw dhanse hain faza mein hat buland nai jihat ka lage ab darakht mein paiwand