sabhi ne eid manai mere gulistan mein kisi ne phul piroe kisi ne khar chune ba-nam-e-izn-e-takallum ba-nam-e-jabr-e-sukut kisi ne hont chabae kisi ne git bune bade ghazab ka gulistan mein jashn-e-eid hua kahin to bijliyan kaundin kahin chinar jale kahin kahin koi fanus bhi nazar aaya ba-taur-e-khas magar qalb-e-dagh-dar jale ajab thi eid-e-khumistan ajab tha rang-e-nashat kisi ne baada-o-saghar kisi ne ashk piye kisi ne atlas-o-kamkhwab ki qaba pahni kisi ne chaak-e-gareban kisi ne zakhm siye hamare zauq-e-nazara ko eid din bhi kahin pe saya-e-zulmat kahin pe nur mila kisi ne dida-o-dil ke kanwal khile pae kisi ko saghar-e-ehsas chakna-chur mila ba-faiz-e-eid bhi paida hui na yak-rangi koi malul koi gham se be-niyaz raha bada ghazab hai khudawand-e-kausar-o-tasnim ki roz-e-eid bhi tabqon ka imtiyaz raha