zamin ka wajud mere intizar mein tha meri sada ko raushni ki shanakht ke liye suna gaya jo azali paniyon se fawware ki tarah phail rahi thi main tez tez aabshaar ki tarah zamin ke munh mein gir raha tha zamin ka munh gulab ke phul ki tarah hawa mein wa ho raha tha pahli bar jab main aasman se gira tha zamin ne meri aawaz ko mausiqi ki tarah suna tha zamin ke dil mein dard ka dariya tha jis mein main ne janm liya tha ab main apne andar se us raushni ko yaad karta hun jo mere wajud mein ghair-mamuli khamoshi ke sath mahfuz hai aur apni pahli maujudgi ke sath meri aankhon mein ubhar aati hai lekin main is aawaz ko kabhi nahin pa sakunga jo mere ghar ka sukun hai main har roz apne aap ko chhodta hun ek zakhmi parinde ki tarah jo band hawa main aasman ki tarah udta hai aur ek jila-watan ki tarah sans leta hai