zindagi ke aise dorahe par aa kar ruk gaya hun har musafir kohar-aluda faza mein har qadam ehsas ki dori se anjaane safar ke dhup chhanw napne mein ek andhe ki tarah khali hawaon mein chhadi lahra raha hai jis tarah jalte hue mazur patton ka hawa ke rukh par uthta hai dhuan auham ki chadar chadhane rasta dikhlane wale chand suraj aur sitaron ke mazaron par main dauran-e-safar kis dhund mein aage ka rasta dhundhta hun rasta baen jo jata hai samundar par us raste ke mutawazi kushada raste ek dusre ko katte hain sare raste un bade raston ke upar chal rahe hain aur daen samt jo rasta gaya hai kitna pur-asrar hai chadhta utra jal sa banta hua chaaron taraf se ek markaz ki taraf jaane ka sidha rasta dikhla raha hai kaisa doraha hai ye main zindagi ke kaise dorahe par apna dahina panw uthae wahime ke kohar mein apni chhadi lahra raha hun