jin lafzon mein hamare dilon ki baiaten hain kya sirf wo lafz hamare kuchh bhi na karne ka kaffara ban sakte hain kya kuchh chikhte manon wali satren sahaara ban sakti hain un ka jin ki aankhon mein us des ki had un viran sehnon tak hai kaise ye sher aur kya un ki haqiqat na sahab is apne lafzon bhare kanastar se chullu bhar kar bhik kisi ko de kar hum se apne qarz nahin utrenge aur ye qarz ab tak kis se aur kab utre hain lakhon nusrat-mand hujumon ki khandan khandan khunin aankhon se bhare hue tarikh ke chaurahon par sahib-e-takht-khudawandon ki katti gardanen bhi hal kar na sakin ye masail ek sail ke masail apne apne urujon ki uftadgiyon mein dub gain sab tahziben sab falsafe… to ab ye sab harf zaburon mein jo mujallad hain kya hasil un ka… jab tak mera ye dukh khud mere lahu ki dhadakti taksalon mein dhal ke duaon bhari is ek maili jholi mein na khanke jo raste ke kinare mere qadmon pe bichhi hai