do aalam ki sayyahi mein guzre hain nikhat nikhat mere lab ujle pistanon se zer-e-naf ghani raaton ke aiwanon se bhigi bhigi khaal ki andhi raunaq se waqif hun main bhi jismon se sailabi pech-o-kham se ghis kar lamha lamha jaan ganwai hai main ne bhi jhag bana kar hasti apni mitti ke sapne dhota hun tere khaliyon ke halqon mein ek shaffaf falak bota hun tund-masamon ki aankhon mein apne chehre ko khota hun