jis bhi ruh ka ghunghat sarkao… niche ek manfeat ka rukh apne itminanon mein raushan hai hum samajhte the ghirte umadte baadalon ke niche jab thandi hawa chalegi din badlenge lekin ab dekha hai ghane ghane sayon ke niche zindagiyon ki salsabilon mein dhaki dhaki jin naliyon se pani aa aa kar girta hai sab zer-e-zamin nizamon ki nili kadiyan hain sab tamliken hain sab tazlilen hain kaun sahaara dega un ko jin ke liye sab kuchh ek karb hai kaun sahaara dega un ko jin ka sahaara aasmanon ke khalaon mein bikhra hua dhundla dhundla ek aks hai main un akson ka akkas hun