awwal halqa-e-yaran mein kanan raat ke pichhle pahar bastiyon se dur nahron ke kinare khema-zan wo darakhton ki hawaon mein sitare khema-zan bastiyon se dur sahra ke nazare khema-zan halqa-e-yaran mein kitne naznin nazuk kamar dom raqs ke hangam kitne bazuon ka pech-o-kham dekhne walon ki nazron mein utar aane ko hai ye badan ka loch jaise ruh bal khane ko hai ye nazar ke samne kitne hi aalam khwab se raqs ke hangam ubhar aate hain kitne shokh rang aur kitne tez ho jate hain nazron ke khadang ye khayalon ke gulistan ye nigahon ke qafas raqs ke ye daere shola-ba-daman har nafas soyam rasm ada hone na pai thi ki khemon ke qarib shah-nashin ki samt daude is tarah wahshi naqib kitne arman kitne gham ashkon mein dhal kar rah gae ain jashn-e-rasm ke hangam kanan ka gurez kitne manzar aariz-o-lab ke pighal kar rah gae kitne lab hasrat-chashida kitni aankhen ashk-rez jaise saghar aaen hathon mein magar tute hue chhediyo mat zindagi ke baal-o-par tute hue tar hain is saz ke ai naghma-gar tute hue chahaarum ye qabilon ke shuyukh-e-pukhta-umr o sakht-kosh wadi-e-dajla ke shahri kurd ke khana-ba-dosh lad rahe hain apni apni kaj-kulahi ke liye kaun daru ban ke aae kam-nigahi ke liye garmi-e-guftar se mumkin nahin dil ka rafu guftugu se aur badh jata hai josh-e-guftugu