main ne zamin ki tapti ragon pe hath dhare hain main ne zamin ki tapti ragon se tapte lahu ko ubalte dekha hai un raston pe un galiyon pe patthar jaisi sakht hawa ke surkh dhamake dekhe hain raat ki mutwarrim ghadiyon mein zard makanon ke sehnon mein lahu ko girte dekha hai qatra qatra qatra qatra qatra bante bante ek samundar ek be-payan tapta surkh samundar zard makanon ki rag rag mein tapta surkh samundar un galiyon ki budhi chhaal pe ifriton ke hamle tapti zamin ke satwin talwe tak lahraati andhi chikhen kitni hi zalim sadiyon se andhi chikhen mere tapte jism ke jalte khaliyon zard masamon ke darron mein bhatak rahi hain chikhen mere jism ki ek ek rag mein yurish karti hain nafrat ka tikha lashkara jism ko katta rahta hai jis ke andar jism ke bahar khun ka andha lawa bahta rahta hai