main jab takhliq ka jugnu pakadta hun main jab andar andhere mein gundhi mitti ka pani raushni ki bund ki khwahish jagata hai kimiyai khwab kitne ehtamam-angez hote hain bhatakti khushbuon ko jama karte hain pahadon par padi binaon ki wusaton ko jod kar tartib se rakhte hain aur aankhen banate hain phir un mein aansuon ki fasl ugate hain mujhe barish batati hai ki mathe se pasina bah raha hai thuk munh bhar ke nikalne se apahij harkaton ka zang utarta hai aziyyat sahne ki lazzat mere andar utarti hai main bistar par sikudta hun nai ek nazm likhta hun