jism bhi tut chuka kaun use pahchane ruh meri mujhe aawaz na de pai kabhi raste bhi meri parchhain se aage na badhe aur ehsas ki qindil bujhi sham dhale raat guzri to hua yun mahsus nim wahshi si kahani thi sunane ko jise subh-e-nau jaise dabe panw chali aai mere kamre mein aur main shahr-e-khamoshan mein kai sadiyon tak yahi socha kiya jaise mera tuta hua bikhra hua jism isi farsuda kahani mein chhupa baitha hai main ne socha ki use dhundhun use apne qarib laun aur puchhun ki meri zat se ho kar tu juda kyun asatir ke zindan mein raha yun mahbus