tum ye kahte ho ki qail nahin aslaf ka main sach hai ye daur bhi aslaf parasti ka nahin aaj har jam se labrez mai-e-hasti se jam-e-diroz mein ye baada-e-rangin hai kahin tum ne samjha hi nahin falsafa-e-zist hai kya kab main kahta hun ki jhutla do guzishta lamhe main ne to aur bhi chamkae hain mazi ke nuqush gul kiye honge tumhin ne gae waqton ke diye main is aflas-zada daur se bach kar ai dost likh nahin sakta kisi haal mein bosida adab aur ye bhi nahin ho sakta ki main pesh karun be-tap-o-tap-o-paraganda-o-zulida adab kal jo tha tarz-e-jahan aaj kahan hai baqi sath de sakti nahin aaj ka wo rasm-e-kohan kal to kuchh aur hi thi lauh-o-qalam ki duniya aaj kuchh aur hai diwanon ka andaz-e-sukhan mere afkar pe kahte ho ki hai mohr lagi 'hafiz'-o-'sadi' bhi hain ahd-e-guzishta ke adib tum hi batlao ki marta hai kahin aisa adab jo raha ho gham-e-hasti gham-e-dauran ke qarib ishq aur husn ke afsanon mein kya rakkha hai sun ke un qisson ko bimar nahin ji sakte jis mein sharbat ho faqat baada-e-tiryaq na ho aaj us jam ko mai-khwar nahin pi sakte mere dil mein bhi aqidat ka diya jalta hai ho 'zuhuri'-o-'naziri' ki ho 'talib' ka kalam 'keats' 'tagore' ki 'iqbaal' hon 'tulsi' hon ki 'mir' sab se 'ghaalib' ko juda rakhta hai 'ghaalib' ka kalam aaj bhi hazrat-e-ghaalib ka qalam zinda hai us se milta hai abhi jis ki zarurat hai hamein aaj ke daur mein bhi taza hain afkar us ke ye alag baat ki us se bhi kudurat hai hamein