jism shikan-alud thakan ki chadar odhe raat ko chup ki narm masahri par soya hai gum-sum hai khoya khoya hai nind ke malmal jaise nile haale mein teri yaaden raqs ki surat khoe hue sundar deson ka qarya qarya ghum rahi hain jiwan ke sat-rang pahante git ki lai par haule haule jhum rahi hain jiwan-rut ke zard safar mein aankhon ke darwazon se dakhil hote dulhan jaise kore khwab tere paikar ki khushbu se ujli ujli baaten karte resham hath meri apni gardan ki ruon se khel rahe hain tanhai ke bhor samon mein khulne wala hijr ka mausam jhel rahe hain subh jab hogi tute badan ki thikriyon ko kun ka malik jod ke phir se sidha kar dega haddiyon ke gude mein ek nae din ke jiwan ki sabz ummiden bhar bhar dega yun jiwan ke godam mein jalti sanson ka ek aur suhana din sham ki chakki mein dana dana ho kar pis jaega aur jism yunhi dhire dhire ek roz shikan-alud thakan ki chadar odhe maran barat ki narm masahri par so jaega