jal chuki shakh-e-nasheman tham chuki baad-e-sumum ab hawa-e-nau-bahaaran kausar-afshan hai to kya kar chuki khun-e-tamanna tirgi-e-sham-e-gham aasman par ab naya suraj darakhshan hai to kya jam afsurda surahi sar-nigun mina khamosh mai-kade mein ab hujum-e-mai-gusraran hai to kya dur ho sakta nahin ai dost qarnon ka sukut zindagi ab apne barbat par ghazal-khwan hai to kya gardish-e-dauran pe koi fath pa sakta nahin tere lab par shikwa-e-alam-e-dauran hai to kya munkashif hone ko hai raaz-e-sabaat-e-jawedan aaj agar shiraaza-e-hasti pareshan hai to kya kal ye duniya wadi-e-raqs-o-nawa kahlaegi aaj agar jaulan-gah-e-sailab-o-tufan hai to kya sad chuke is ke anasir hat chuka soz-e-hayat ab tujhe fikr-e-ilaj-e-dard-e-insan hai to kya zindagi ki talkhiyon ne chhin li tab-e-nazar tur ki choti par 'afsar' ab charaghan hai to kya