gudiya si ye ladki jis ki ujli hansi se mera aangan damak raha hai kal jab sat samundar par chali jaegi aur sahili shahr ke surkh chhaton wale ghar ke andar pure chand ki raushni ban kar bikhregi hum sab us ko yaad karenge aur apne ashkon ke sachche motiyon se sari umr ek aisa sud utarte jaenge jis ka asl bhi hum par qarz nahin tha!