hawa hamare dalanon mein ruk si gai hai tum se ijazat le kar maidanon ki khushbu phaila degi meri kitabon aur tumhaari poshakon mein us se puchho kaise hain wo log jinhen pichhli barsat mein hum ne be-ghar dekha tha aur kaisi hai wo bachchi jis ne hum donon ko apne mitti ke pyale mein dudh pilaya tha kaise hain suraj-mukhi ke nanhe-munne bete jin ko hum ne pyar kiya tha aur wo sada-lauh charwahe jin se hum ne apna rasta pucha tha kaise hain dariya ke git jinhen adhura chhod aae the kis ne hum donon ke baad unhen gaya hai kaun hamare baad wahan se guzra jahan nowember aa kar thahar gaya tha aur nowember dhup mein jaise sayyahon ki wardi pahne har manzar mein phail raha tha hamein batao tum kaisi ho aur kaise hain zinda rahne wale zamane