jo bazar chahakta tha har sham aaj kuchh sunsan sa lag raha hai gol-gappe ki dukan ka thela jalebi wale ke chulhe par se bartan chae pe chuskiyan lete log koi bhi aaj nazar nahin aa raha naliyon mein lal rang bah raha hai pata chala rang nahin pata chala rang nahin ye hindu musalman ka khun hai kal dharm ke nam par fasad hua sunta hun wo jalebi wala miyan tha gol-gappe wala hindu tha mujhe kaise pata chalta jalebiyon ne kabhi azan nahin padhi gol-gappe ne kabhi gita nahin sunai jo bazar chahakta tha har sham aaj kuchh sunsan sa lag raha hai