dayar-e-barg-e-raana se guzarta hun to mujh ko khauf aata hai dam-e-lams-e-pareshan se sada-e-dida-e-tar se main us ke rang ko khushbu ko us ki naghmagi ko hadisa majruh-o-damanda na kar dalo khumar-e-arzu ki intiha par main qalam karta hun apni ungliyon ko putliyon ki bastiyon mein jagmagate sab sitaron ko bujhata hun main tazim-e-ada-e-nur ke hangam mein manus chehron aur aawazon ke sahil par sar-e-mauj-e-farawan raushni ka jara anjam pita hun main apne har safar ki ki aakhiri qurbat ki manzil hun main buzdil hun