sitare jitne bhi aasman par meri tamanna ke zau-fishan the zamin ke andar utar gae hain jo log raaton ko jagte the wo mar gae hain wo phul wo titliyan ki jin se bahaar ki dilkashi siwa thi wo rizq-e-khashak ban chuke the tamam manzar tamam chehre jo dhire dhire sulag rahe the so ab wo sab rakh ban chuke hain main raftagan ki udas yaadon ke sae mein din guzarta hun agarche khwabon ka pairahan tar tar sa hai pa main use kab utarta hun meri sada ka jawab ab koi bhi na dega ye jaanta hun magar musalsal kisi ko ab tak pukarta hun ajib ye khel hai ki jis ko na jitta hun na haarta hun meri kahani mein koi shai bhi nai nahin hai ye nanhe munne hasin khwabon se hai ibarat meri kahani mein narm din khush-gawar shamon udas raaton ki ek rau hai wajud mera kisi diye ki haqir lau hai main yun to kahne ko aql o mantiq ke daur ka aadmi hun lekin mera rawayya hai zindagi ko guzarne ka bahut purana main sochta hun ki ek sadi qabl paida hota to thik rahta ki mujh se koi bhi kuchh na kahta jo khak ka rizq ho chuke hain main un zamanon ka nauhagar hun visal o hijran ki dastanon ka nauhagar hun jinhen ye duniya hazar-ha bar sun chuki hai