agar makdi dikhai de to darti hai meri beti bada hi khauf khati hai taqaza mujh se karti hai ki us ko mar dalun mein magar kuchh soch kar yaro utha leta hun main us ko aur bahar chhod aata hun yahi makdi thi ki jis ne wo ghaar-e-saur mein jala tha kuchh aise bana dala ki dushman bhi pahunch kar wan nahin un tak pahunch pae bada ehsan hai makdi ka musalmanan-e-alam par yahi kuchh soch kar yaro utha leta hun main us ko aur bahar chhod aata hun