josh-e-gul

wo mausam hai ki khuban-e-chaman bante-sanwarte hain
ye aalam hai ki jaise rang taswiron mein bharte hain

hai khwabida jo sabza aaina-khane mein shabnam ke
nafas-duzdida baad-e-subh ke jhonke guzarte hain

par-e-tuti pe hota hai dum-e-taus ka dhoka
hawa se ud ke barg-e-gul jo sabze par bikharte hain

mila hai sabza-e-nau-khez ko kya rang-e-zangari
hawa lagne se jis ki zakhm-e-dil lala ke bharte hain

shagufa-rez ho kar daliyan madhosh karti hain
ki mai-kash jaante hain taq se shishe utarte hain

nazakat se ada se jhum kar kahti hai shakh-e-gul
yunhi ek jam pi kar rang maston ke nikharte hain

bashashat kah rahi hai chehra-e-gul ki idhar dekho
yunhi mahfil mein hans dete hain paimane jo bharte hain

chaman ki badh ke shakhen abr se karti hain gul-bazi
gulon ki aaina-dari par-e-taus karte hain

guman hota hai ki lashkar-kushi baad-e-bahaari ne
zirah-posh aab ho jata hai jab baadal guzarte hain

dam-e-subh-e-bahaari hai rukh-e-khur par naqab-afgan
kisi aaine par tar-e-nafas jaise bikharte hain

wahin ja kar thamega karwan-e-lala-o-gul bhi
nasim-e-subh ke jhonke jahan ja kar thaharte hain

nihaalan-e-chaman kar lenge qabza sare aalam par
wahan se phir nahin hatte jahan pe panw dharte hain

zamin par jal phailaya hai koson zulf-e-sumbul ne
anadil in dinon aate hue gulshan mein darte hain

jawab-e-jashn-e-jam hai garmi-e-hangama-e-gulshan
ki le kar kashti-e-mai takht pariyon ke utarte hain

anadil mil chuke hain khak mein jo kya khabar un ko
ki shakhen jhumti hain phul turbat par bikharte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close