pata nahin wo kaun tha jo mere hath mugre ki dal pankh mor ka thama ke chal diya pata nahin wo kaun tha hawa ke jhonke ki tarah jo aaya aur guzar gaya nazar ko rang dil ko nikhaton ke dukh se bhar gaya main kaun hun guzarne wala kaun tha ye phul pankh kya hain kyun mile ye sochte hi sochte tamam rang ek rang mein utarte gae siyah rang tamam nikhaten idhar udhar bikhar gain khalaon mein yaqin hai nahin nahin guman hai wo koi mera dushman-e-qadim tha dikha ke jo sarab meri pyas aur badha gaya main be-hisab aarzuon ka shikar intiha-e-shauq mein fareb us ka kha gaya guman nahin nahin yaqin hai wo koi mera dost tha jo do ghadi ke waste hi kyun na ho nazar ko rang dil ko nikhaton se bhar gaya pata nahin kidhar gaya main is ko dhundhta hua tamam kaenat mein udhar udhar bikhar gaya