aankh bojhal hai magar nind nahin aati hai meri gardan mein hamail teri banhen jo nahin kisi karwat bhi mujhe chain nahin padta hai sard padti hui raat mangne aai hai phir mujh se tere narm badan ki garmi aur darichon se jhijakti hui aahista hawa khojti hai mere gham-khane mein teri sanson ki gulabi khushbu! mera bistar hi nahin dil bhi bahut khali hai ek khala hai ki meri ruh mein dahshat ki tarah utra hai tera nanha sa wajud kaise us ne mujhe bhar rakkha tha tere hote hue duniya se talluq ki zarurat hi na thi sari wabastagiyan tujh se thin tu meri soch bhi, taswir bhi aur boli bhi main teri man, bhi teri dost bhi ham-joli bhi tere jaane pe khula lafz hi koi mujhe yaad nahin baat karna hi mujhe bhul gaya! tu meri ruh ka hissa tha mere chaaron taraf chand ki tarah se raqsan tha magar kis qadar jald teri hasti ne mere atraf mein suraj ki jagah le li hai ab tere gird main raqsinda hun! waqt ka faisla tha tere farda ki rifaqat ke liye mera imroz akela rah jae mere bachche, mere lal farz to mujh ko nibhana hai magar dekh ki kitni akeli hun main!