sham ka pinjra mere jism pe gir jata hai aur main darja dom ka qaidi dushman ke akhbar se puri duniya ke logon ki bigadti shaklen dekhne lagta hun aur suraj ki aazadi mere jine ki khwahish ko apna dost banane aa jati hai mere nashte ke bartan mein meri mohabbat ke barson ka sara zaiqa bhar jata hai cigarette ke har kash se dariya khinch aate hain aur parinde apni auladon ko mere git ka choga dete hain jab mere panw un ke banae zabton ki daldal mein dhans jate hain meri aankhen lakhon mil safar kar jati hain aur mere bazu rail ki donon patriyan ban kar phailte hain jab meri ragon mein shaeri khun banati hai main sham ka pinjra tod ke bahar aa jata hun mere panw ke sab rishte ek duje se jud jate hain mere lafz darakhton ke gumbad mein kabutar ban ke gatalne lagte hain mein apne sirhane baithe neruda se kuchh baaten puchhta hun