nigar-e-sham-e-gham main tujh se rukhsat hone aaya hun gale mil le ki yun milne ki naubat phir na aaegi sar-e-rahe jo hum donon kahin mil bhi gae to kya ye lamhe phir na lautenge ye saat phir na aaegi ki main ab sirf in guzre hue lamhon ka saya hun isi bazar mein bara baras hone ko aae hain ki main ne fastes ki tarah apni ruh bechi thi masarrat ki musalsal gardish-e-yaksan se ukta kar tujhe hasil kiya tha aur har surat bhula di thi purane saz-o-saman ab mujhe rone ko aae hain ghazab ki tirgi hai rasta dekha nahin jata hawa ke shor mein dariya ki maujen badhti jati hain zamin se ukhde jate hain darakhton ke qadam paiham chatanen rup badle zer-e-lab kuchh padhti jati hain ab apni ungliyon ka fasla dekha nahin jata jaras ki naghmagi aawaz matam hoti jati hai wahi mamul ke but hain wahi lamhon ki virani zara si der mein ye dhadkanen bhi dub jaengi meri aankhon tak aa pahuncha hai ab bahta hua pani teri aawaz maddham aur maddham hoti jati hai