jugnu idhar aao ai mere nadan bachche karunga main do chaar baaten tumhin se ho masruf kyun khelne mein tum aise suno to sahi kuchh padho ghar pe ja ke nahin pyare bachche ye din khelne ke bachcha main abba ka jaani main aman ka pyara nahin ranj mera kisi ko gawara na jaunga padhne ye hai kya ishaara main khelunga tera nahin kuchh ijara chamakdar kide mujhe khelne de jugnu ye pur-nur chehra ye aankhen munawwar ye gora badan aur kapde moattar ladakpan ke din hain magar yun na hat kar nasihat se meri hua kyun mukaddar nahin pyare bachche ye din khelne ke bachcha padi hai abhi umr padh lunga jugnu ki padhne pe har waqt hai mera qabu main kyun jaun padhne main khelunga har su kahin aur be-par ki ja kar uda tu chamakdar kide mujhe khelne de jugnu nahin pyare bachche nahin khel achchha ki padhne ka hai ek yahi to zamana agar ibtida se raha shauq is ka to aa jaega phir bahut jald padhna nahin pyare bachche ye din khelne ke bachcha pakad lunga tujh ko jo ab tu ne chheda tu aaya bada ilm wala kahin ka main khelunga khelunga khelunga har ja mujhe khel se rokta hai parinda chamakdar kide mujhe khelne de jugnu na jaunga hargiz main ud kar yahan se karoge na iqrar jab tak zaban se nasihat ko aaega koi kahan se farishte na utrenge ab aasman se nahin pyare bachche ye din khelne ke bachcha yahan aa ke kin aafaton mein phansa main tere lecture mein hua mubtala main kahin aur hi khaunga ab hawa main tu jata nahin to na ja le chala main chamakdar kide mujhe khelne de jugnu main tere liye go ek aafat nai hun magar waqai rahmat allah ki hun jahan mein tera rahnuma har ghadi hun main jugnu nahin ilm ki raushni hun nahin pyare bachche ye din khelne ke tujhe ek din hai chamakna zamin par hansi mujh ko aati hai teri nahin par nazar hai meri tere ru-e-hasin par main chamkunga ek roz teri jabin par nahin pyare bachche ye din khelne ke abhi se agar tu likhega padhega to duniya mein parwan jaldi chadhega ye kab tak yunhi gediyan tu gadhega badhaega himmat to aage badhega nahin pyare bachche ye din khelne ke bachcha jo tu ilm ki raushni hai to aa ja mere dil mein mere jigar mein sama ja mujhe padhne likhne ka shaida bana ja agar aur kuchh hai to hat ja chala ja chamakdar kide mujhe khelne de