qudrat ke tamashe

phul khile hain rang-birange
gamlon mein jo bij the boe

un mein se kuchh paude phute
kuchh ko gamlon hi mein chhoda

kuchh ko kyari mein ja boya
un pe padin pani ki phuwaren

jhum uthi paudon ki qataren
roz badhin wo angul angul

phailin patiyan ubhre danthal
un mein se phir kaliyan phutin

rangon ki pichkariyan chhutin
wo jo sham ko ek kali thi

subh hui to phul bani thi
mitti mein to kuchh bhi nahin tha

dana hi bas ek boya tha
aae kahan se phul ye pyare

itne achchhe itne pyare
mitti mein se ped ubhre hain

shakhon mein se phul khile hain
phul khile hain rang-birange

hain ye sab qudrat ke tamashe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close