ye sham sham-e-awadh nahin hai jise tumhaari siyah zulfen chhupa sakengi ye subh subh-e-tarab nahin hai ye ek dhundlaka hai ek kohra ubharte suraj ki garm kirnon ke khwab sayyal ho gae hain zamin apni ragon ki garmi luta chuki hai hayat aansu baha rahi hai har ek barg-o-samar pe moti jhalak rahe hain tum apne aanchal pe bazm-e-parwin saja chuki ho tum apne anfas ke jilau mein hazaron ghunche khila chuki ho khiram-e-nazuk ki sahiri se zamin ko jannat bana chuki ho tum ek tabassum se kitni shamen jala chuki ho magar ye sham-e-awadh nahin hai ki shama ab tak jali nahin hai ye subh subh-e-tarab nahin hai ki shama ab tak bujhi nahin hai ye waqt ka ek ajib lamha hai jis ki sharyanon mein khun jamne laga hai ye ek afsun-e-dilbari hai na subh-e-waslat na sham-e-hijran na bu-e-yusuf na chaak daman tumhaare aanchal ki bazm-e-parwin ujad chuki hai tumhaari mauj-e-yaqin se kitne gulon ke chehre utar gae hain tumhaare qadmon ki aahaton ne chaman ko viran bana diya hai