bachpan se man ki di hui sikh par chali hun main aaj bhi chal rahi hun aur aage bhi chalna chahti hun par kabhi kabhi mahsus hota hai thakan ka ek bojh apne dil aur dimagh par aksar zehn mein uthte hain kai sawal kya hasil hona hai mujhe is rah par kab tak yun hi chalti rahungi apne chaaron jaanib jab dekhti hun jhut ki unchi imaraten to khayal aata hai mera sach to sahra mein udti khak sa hai mera wajud yak-ba-yak anasir ka dher lagta hai aur main khud se hi ghabra jati hun saham jati hun phir yaad aati hai man ki bachpan mein di hui sikh saphal wahi hote hain jo sachche hote hai ye khayal aate hi nae josh mein apne thake bikhre tute badan ko samet kar khak se chattan ki shakl ikhtiyar karti hun aur tayyar karti hun khud ko ek bar phir jhut ki imaraton se jang karne ke liye