tum se be-rangi-e-hasti ka gila karna tha dil pe ambar hai khun-gashta tamannaon ka aaj tute hue taron ka khayal aaya hai ek mela hai pareshan si ummidon ka chand pazhmurda bahaaron ka khayal aaya hai panw thak thak ke rahe jate hain mayusi mein par mohsin rah-guzaron ka khayal aaya hai saqi-o-baada nahin jam-o-lab-e-ju bhi nahin tum se kahna tha ki ab aankh mein aansu bhi nahin