solan ki chotiyon se jhandi hila rahi hai ghusse mein be-tahasha siti baja rahi hai dekho wo aa rahi hai shimle ki rail-gadi do enginon ke munh se shoale nikal rahe hain do nag mil ke goya dozakh ugal rahe hain aankhen dikha rahi hai shimle ki rail-gadi sunsan ghatiyon par unchi pahadiyon mein pathrili chotiyon par tilon mein jhadiyon mein lahraati aa rahi hai shimle ki rail-gadi lohe ki ek nagin bal kha rahi ho jaise aur unchi chotiyon par lahra rahi ho jaise is tarah aa rahi hai shimle ki rail-gadi ban-basiyon ko kya kya dil shad kar rahi hai sunsan jangalon ko aabaad kar rahi hai basti basa rahi hai shimle ki rail-gadi nikli surang se yun jun bil se nag nikle chamki sire pe jaise bhatti se aag nikle kya gul khila rahi hai shimle ki rail-gadi