wo khak boe the haalat ne sharar jis mein ab us mein phul tamanna ke khilne wale hain hue the jin ke sabab chaak chaak sina-e-dil wo chaak ab unhin hathon se silne wale hain jo dost uljhe the aapas mein dushmanon ki tarah phir ek bar wo aapas mein milne wale hain dayar-e-rus hamara salam-e-jaan ho qubul ki rah-e-shauq ko aasan bana diya tu ne ye daur aaj ka to mojazon ka daur nahin magar wo moajaza hum ko dikha diya tu ne ki jis se dur o qarib ek nur phail gaya charagh-e-kushta ko aise jala diya tu ne ye tashqand se paigham-e-dil-nawaz aaya ki ibtila ka zamana guzar gaya yaro! bahut raha jise dawa-e-sahil-e-ashubi suna ye hai ki wo dariya utar gaya yaro! kuchh is tarah se kisi ne diya lahu apna ki arz-e-sharq ka chehra nikhar gaya yaro! wo khak jis pe mere rahnuma ne jaan di hai mera salam usi dil-nawaz khak ke nam nawa-e-khama ho mansub aaj se pyaro shahid-e-amn ki rudad-e-tabnak ke nam mere junun-e-wafa ka yahi payam hai aaj sukhnawaran-o-adiban-e-hind-o-pak ke nam