khwab ki tarah se hai yaad ki tum aae the jis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti hai zarre zarre ko tajalli ki khabar hoti hai aur jab nur ka sailab guzar jata hai raat bhar ek andhere mein basar hoti hai kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the jaise gulshan mein dabe panw bahaar aati hai patti patti ke liye le ke nikhaar aati hai aur phir waqt wo aata hai ki har mauj-e-saba apne daman mein liye gard-o-ghubar aati hai kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the jis tarah mahw-e-safar ho koi virane mein aur raste mein kahin koi khayaban aa jae chand lamhon mein khayaban ke guzar jaane par samne phir wahi duniya-e-bayaban aa jae kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the