hum junun-zat tere hukm pe nikle jaanan aise nikle hain ki shayad hi palat kar aaen dil ne ek khwab jo dekha to pukara uth ke hukm utra hai ki ghar-bar ko tanha chhoden apni wadi se kisi dasht ko hijrat pakden apne baghat-o-chaman-zar ko tanha chhoden is se pahle ki rag-o-pai mein siyahi phaile apne darbar-e-tarab-zar se bahar niklen is se pahle ki shab-e-zist ka pahlu badle rahaten tark karen aur safar par niklen aur jab rah talashen to safar mein aise ki qadam dard ke maron ke hawale kar den apne hathon ko yatimon ke saron par rakh den apni aankhon ko bichaaron ke hawale kar den itna sunna tha ki bas rakht-e-mohabbat bandha apne andar ki kudurat ke daron ko toda apni khwahish-zada ‘adat pe tale dale apni khud-gharz tamannaon ko pichhe chhoda aur hamrah tere pyar parinde le kar apne hathon mein teri chah ki sham'en thame apne honton pe tere dard ke naghme le kar apne mathe pe tere shauq ka sahra bandhe hum junun-zat tere hukm pe khud se nikle aise nikle hain ki shayad hi palat kar aaen