us sunahri sham jab mandir ki sidhi par bichhae dhup odhe chhanw hum tum sath baithe the bahut kuchh kah raha tha main bahut kuchh kah rahi thin tum bahut kuchh sun rahe the hum hamari pith ke pichhe to suraj dhal raha tha par mere shane pe ek suraj tika tha jis ki jagmag raushni mein aasman apne waraq par phir koi dilkash kahani likh raha tha kal pighalti sham auditorium ki sidhiyon par hum the aadhe pas aadhe dur gum-sum sath baithe the na tum kuchh kah rahi thin aur na main kuchh kah raha tha ek chuppi thi jise hum sun rahe the lekin ab ki bar suraj samne hi dhal raha tha aasman par sham ki parchhaiyan gahra rahin thi aur tariki falak ke lauh par likkhi hui ek ek 'ibarat ko mitati ja rahi thi aasman par wo kahani jo adhuri hi likhi thi dhire dhire mit rahi thi aasman nile se kala aur kala ho gaya tha