khuli aankh se dekh liye khwab painsath sal aur ab main jag jaane ko kahun to jurm ab main chup rahun to gunah kuchh kahun to jurm sahun to apni nazron se gira na sahun to jurm khel siyasat ke hain ye lashen ye jalti bastiyan chup rahun to ghaddar watan ka sach kahun to jurm farq kabhi khatm nahin hoga mahal aur jhonpadi ka agar wo kahen to ghazab taqrir main kahun to jurm kah bhi de ki tu zinda lash hai insan nahin phir tujhe haalat se ladne ko kahun to jurm