aawaragardi karna subh o sham dhinga-mushti, dushnam har roz yahi hai kaam na chain hai na aaram bazar ki bhid hatati apni kuhni se bazu se pakad kar jaise apne bigde ziddi bachche ko fahmaish karti ghar wapas le jati hai man yunhi hum ko bhi maut aa kar is duniya se le jati hai bechain hamari ruhon ko deti hai aman shor-o-shar se dur ek makan