justuju

haqiqat ka taqaza hai ho dil ko justuju pahle
husul-e-muddaa ko chahiye kuchh aarzu pahle

nigahen khud hi aaengi chaman mein bahr-e-nazzara
tere gulshan ke phulon mein magar ho rang-o-bu pahle

agar shishe mein sahba hai to mai-kash mil hi jaenge
muhayya mai-kade mein chahiye jam-o-subu pahle

sama jaega surma ban ke khilqat ki nigahon mein
tu apni zat mein paida kare gar aabru pahle

hare ho jaenge ek din teri ummid ke bute
chaman mein aansuon ki tu baha de aabju pahle

gareban chaak ho majnun-sifat gar shauq-e-laila hai
phira kar dasht-e-wahshat mein misal-e-qais tu pahle

khudi ko gar mitaega khuda bhi mil hi jaega
uthaya chahiye dil se hijab-e-ma-o-tu pahle

zaruri hai ki khul jaen qubuliyyat ke darwaze
duaon ko 'puri' dil se nikalne ki ho khu pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close